''vaishali(2)''
''mere blog me na jaaney kya problem aa gayi hai jiski vajah se mujhey apni post'' hinglish'' me likhani pad rahi hai kyuki mere blog me se language change ka option gayab hai :(:(:(:( .....''
abhi tak aapney padha ki kis tarh vaishali aur Animesh ki mulakaat hui thi ab ussey aagey.......
Animesh vaishali ke ghar apney,mummy papa ko lekar aaye vaishali iskey liye taiyaar nahi thi.dono ke mummy papa me khub baatey hui,udhar Animesh bhi vaishali se bahut baatey kar rahey the.vo shaam vaishali ki bahut acchi shaam thi.phir milney ka vada karkey sab ek dusrey se vida huey .
ab aksar choti-choti si mulakaat dono me hoti rahti thi (vaishali Aur Animesh me).ek baar vaishali apni best friend Rupal ke saath thi sadhey paanch feet ki rupal ek dum sangey marmar ki tarh lagti thi uskey chehrey ki gulabi chata dekhney layak thi .uskey khuley baal kaaley-kaaley badlo ka ahsaas karatey the usey dekh kar yah ahsaas hota thi ki mano badlo ki aot me se koi chand nikal raha ho.tabhi Animesh bhi aa gaye unki nazar jo rupal par padi vo awak rah gaye .aur koi bahana bana kar vahan se nikal liye
.Rupal aur Animesh jab bhi miltey aisey hi ek dusrey ko dekh kar bhaag nikaltey the.vaishali to ye soch rahi thi ki rupal se milney ke baad Animesh usey bhul jayengey par hua iska ulta Animesh ab aur bhi jyada vaishali ko pyaar dene lagey aur ek din unhonay apney pyaar ka izhaar kar diya aur phir to bas shahnai gunj uthi.
baarat ke aaney ki raah dekhi ja rahi thi vaishali saji-dhaji apney kamrey me akeli baithi thi tabhi uski ek aur friend jo rupal se bhi jyada uski pakki saheli thi aayi aur usney vaishali ko kuch kaha vaishali satabadh rah gayi aur phir vaishali vapas apney kapdo me aa gayi .vaishali ki maa uskey kamrey me aayi vaishali ko aisa dekh kar behosh ho gayi aur jab hosh me aayi to vaishali ka kahi pata nahi tha......Animesh aaj bhi uskey liye rotey hain :'( par vaishali ke mummy papa ko ek baat pata chal gayi ki Rupal Animesh ki pahli wife thi!!
paper me ek ''ad'' bhi diya gaya par aaj tak vaishali ka koi pata nahi hai..............
chaltey-chaltey =duriyan bahut hai
par itna samjh lo
pass rahkar bhi koi
rishta khaas nahi hota
aap dil ke pass itney ho ki
duriyon ka ahsaas nahi hota ||
jaaney ka bahana na dena
bas jaaney ki vajh bata dena
chaley jaayengeyaapki zindgi
se muskratey huey
par jahan apki yaad na aaye
vo jagh bata dena................||

aapka mano ya na mano aapkey anmol pal mujhey bahut accha lagta hai isey padh kar meri mummy me bahut change aaya hai....<3 u..!!
ReplyDelete