shelly jaise hi class room se bahar aayi, usney dekha vahan koi nhi tha. uski saari friends ghar chali gayi thi . shelly ko aaj 'Renu mam' ke saath 'annual function' ki taiyari me thodi der ho gyi thi . shelly bike stand ki taraf gyi, apni scooty nikali aur ghar ki taraf badha di .school aur ghar me kafi duri hai, usko raaste me aise ilako se hokar bhi jana padta hai jahan chotey -chotey bachchon se as a lebour kaam karaya jata hai.
shelly 60 ki raftaar se ghar ja rhi thi. achanak chiuk kar uski scooty ruk gyi, koi do saal ka bachcha achanak uski scooty ke saamne aa gya tha. renu scooty se utari usne dekha ki koi bhi aas- pass nahi hai, na jane vo bachcha kahan se vahan aa gya tha ! renu ne bachchey ki maa ko bahut dhunda, par vo nahi mili toh renu ne bachchey ko ek ped ki chav me khada kar diya .
ghar aaney ke baad bhi renu ka saara dhyan us bachchey par hi tha. maa ne renu ko soach me dubey dekh kar puchcha '' renu kya baat hai beta jab se school se aayi ho gum sum ho ''? renu ne maa ko saari baat bta di.fir maa ne renu ko bahut dukhi dekh kar kaha ki chalo vahan jis jagh tumne bachche ko khada kiya tha usko dekh kar aate hain . maa aur shelly dono vahan pahuchay, vahan koi nahi tha .
maa aur shelly thoda aagey gye vahan unko ek bahut bada bangla dikhayi diya unhone dekha ki , vahan kuch bachchey cricket khel rhe hain , aur vo jo chota sa bachcha jo shelly ki scooty ke saamne aa gya tha sadak par se daud -daud kar ball utha -utha kar cricket kheltey bachchon ko de raha tha ! aur is tarh se us do saal ke abodh balak ko bhi ball uthane ki ''naukri'' mili hui thi shelly ke muh se nikal gya aap bahut gande ho !!
chaltey - chaltey =naa puchcho is zalim zmane ki
darde dil ke siwa yahan kuch naa milega .....
ghar se chale the hum to khushi ki talash me
log milte gye karwan banta gya.....

No comments:
Post a Comment